Ho Jai Jai Kar

Ho jai jai kar jai jai kar karei
Ho jai jai kar jai jai kar karei

Wo hai hamara raja,
dukh sankat se bachata
Ham par apni karuna karta
aur karta upkaar
Kyon na us par tan man warei,
dei apna adhikaar

Swarg hai uska sighasan,
Prithvi bani hai aasan
Akaash uski mahima bataye,
hast kala ko dikhaye
Saari prithvi uski rachna
uska hi pratap

Us par jiska bharosa,
wo to kabhi na digega
Chahe bimari, chahe garibi,
chahe ho akaal
Sab sankat se sab kashton se
ho jayega paar

comments